मेरा आज
1 Comments »mausam badaltey rahey
hum saraktey rahey
aur yahan par aa paunchey
jahan par mere alawa bas ek aur insaan ki jagah hain
ek insaan jisey zindagi ke mayney samjhaney nahi padtey
jiskey saath hisaab kitaab nahi karna padta
jiski rooh ki khusboo sey din mehak jata hain
aur main poora ho jata hoon
woh bhi poora ho jata hain
aur ek poori zindagi ban jata hai kuch hi palon mein
mausam phir badal jatey hain
par ab sarakna nahi padta
this is a philosphical poem, expressed in simple way as common as mausam.wonderful way of expressing serious emotions.